Friday, April 11, 2008

Yeh dil ye paagal dil mera....

ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

yeh dard ki tanhhaiyan yeh dasht ka veran safar
hum loag to uqtaa gaye apni suna aawargi

loagon ko bhala us shehar kaise jeyain hum
jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sehara ki bheegi rait par main ne likha aawargi

kal raat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main
mohsin mujhey raas aayegi shayad sada aawargi

No comments: