Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai...
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai.
main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor...
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai.
tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine...
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai.
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai.
asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin...
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai.
maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka...
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai.
kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to karae...
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai.
tuze inhi kaanton pe chal ke jaana hoga ae kafir...
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai.......
Saturday, March 29, 2008
Rubarooooo........
Bhool jaoon na uske mansab ko, martaba mere rubaroo karna…
ishq karne lagoon to kismat ka zayka mere robaroo karna.
Duniya waloon ney to bahut dekha, mere lafzoon main toot-ta mujhko,
aaj khud ko main toot-ta dekhon, aaina meray robaroo karna.
Chahe fir haal jo hamara ho, tum se itna hi mujhko kehna hai,
yun hi chup chaap chhod na jana faisla mere robaroo karna.
Meri wehshat tumhain hila degi meri shiddat tumhain rula degi,
zabt waloon kabhi jo mujh se milo hosala meray robaroo karna.
Uski dhadkan ke silsilon main, mujhey naam apna sunai deta hai,
Uski dharkan ko ungliyoon se chhoun, silsila meray robaroo karna.
Sakta hasti ka toot jae ga, mujhko wehshat se hosh ayega,
Main jo gum sum hoon mujhko chaunka do, ye hadsa meray robaroo karna.
Us ney baat badal ke rakh di t0 maine phir se yun pukara hai,
meri muthi main pyaas utri hai, karbalaa mere Robaroo karna.
Tere shikve giley baja lekin, tu ne mujh se kaha suna hota,
dil ki batain na dil main rakh lena, ab gila mere robaroo karna.
Kab sey main uski aass main gum thi, tune usko kahan luta dala,
Rahhnuma..... usko kahan chor aaya ..? qafila mere robaroo karna.
Mein bhi dekhoon ki kaisi hoti hai meri chahaat main tumko betaabi,
tum jo mujh bin kabhi bikhartey ho ye ada mere robaroo karna.
Woh bhi shamil hai aise logoon main jo, mujhey zindagi say badh kar hain,
Uska Chehra bhi samnay rakhna, jab qaza meray Robaroo rakhna.
Mujhse mere khuda ne itna kaha, koi mere siwa na ho dil main,
phir jo chahaye main baksh dalonga, Bass dua meray Robaroo karna.

Subscribe to:
Posts (Atom)