Tumhari yaad me pal pal main muskurati hun
Har raat milan ka naya sapna sajati hun
Har shaam tasawur main tumhare sang bitati hun
Tumhari khushbuon ke sehar main ji behlati hun
Samajh lo ab to jana tum meri kaifiat ka alam
Tere intezaar me hatheli pe mehndi rachati hun
Tumhare naam ko apne seene se lagaya hai
Aur sabr ka ye alam, labon ko see ke baithi hun
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment