Tuesday, April 6, 2010

bhool jaata hu

Uska Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon,
usse jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon,
Bohut si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain,
Magar jab usse sunta hoon, Sunana bhool jata hoon,
uske baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai,
Main aksar usko Khuwabon main Batana bhool jata hoon,
Main her Din kehta hoon usko bhool jaoonga,
Magar jab Shaam hoti hai, Iraada bhool jata hoon

No comments: